IK Raat Lyrics – Arslan Nizami I UMX

Song Name IK Raat

IK Raat Lyrics in English

Ik raat thi, guzar gayi
Ik chand tha, chup gaya
Ik baat thi, jo unkahi.
Ik rooh thi, woh nikal gayi.

Dil sard tha, bikhar gaya
Umeed thi, na hai abhi.
Bas tha tu hi, ab tu nahi
Bas harf they, tu khush nahi

Na tha khuda, manzoor par
Ab hai yaqeen, tujhpar nahi.
Lazim meri , is maut par
Jhooti jo tu ,kyu tu ro rahi

Ik shakhs tha, jo mar gaya
Tera sath tha wo bechagaya
Do haath the, woh kat gaye.
Na chain bhi usse mila
Paravana ban mai batak gaya
Mai bhatak raha, woh bhatak raha

Mai Marke bhi zinda hun.
Tu qabar pe aati nahi.

Mai soya parinda hun ek.
Tu ab hai jagati nahi.

Ab palkon main jhankun teri.
Toh dikhti ek bikhri si rooh.

Bas na mai hosakta tera is gham mai har har raat.
Is dar pe sukoon.

In waadon ka bojh na mumkin uthana.
Aur ansuon ki jagah milti nahi.

Mai ik safar tai kar chuka tha adhoora.
Aur jahan pe choda wahan mitti nahi.

Bas tu hai wahan.
Mai jaun kahan?
Mai khud ko dilasa. kyun?
Dete raha.

Bata de zara.
Mai roun kyu?

Mai tujhse ijazat bhi mangun kyun?
Mai jab tera dushman nahi toh phir dosti bhi jhuti mai hi nibhaun kyun?
Mai khuda se karta guzarish.
Ki use na dekhun kabhi
Woh chahe jo marna na mar sake jab tak na
Khatam ho khajar se hi.

Par mai tabhi pagal.
Uske ishq main.
Na galti thi uski khata hai meri.

Na kiya kabhi jadoo na hi qaboo.
Khudpe itna ki yeh sab na hota kabhi.

Mai khush hun
Ke mai jo.
Na kehlaya
Bewafa bhi nahi.

Mukhatif.
Woh hogi.
Ya nahi hai.
Yeh pata bhi nahi.

Hun khudpar tars kharaha umar bhar par mai ro bhi na paun ab kyun.
Mai toh khoon ke selab mai hun dooba. dho bhi na paun ab kyun?

Sare ke sare woh zakhm hain ab hare hogaye.
Humare tumhare jo apne the ab khade hogaye.

Wahan nahi koi koi koi koi.
Bas mai tha par mai hun na qaid.

Tu kab se soi soi soi soi soi.
Mai kab tak rakhlunga bair.

Jab tak mai hun.
Aur tum ho.
Par mai maut ke ghat utra par rooh meri rakhegi tera khayaal.

IK Raat Lyrics in

Lyrics will be Updated Soon…

ALSO READ: Tera Hoke Nachda Phira Lyrics | Stebin Ben

1 thought on “IK Raat Lyrics – Arslan Nizami I UMX”

Leave a Comment